Thursday 13 June 2013

Subhanallah Lyrics from Yeh Jawaani Hai Deewani 2013




Hindi Song: Subhanallah
Movie or Album: Yeh Jawaani Hai Deewani - 2013
Singers: Sreeram Chandra, Shilpa Rao
Music Director: Pritam
Lyricist: Amitabh Bhattacharya


ek din kabhi jo khud ko taraashe meri nazar se tu zara haaye re
aankhon se teri kya kya chhupa hai tujhko dikhaaun main zara haaye re
ek ankahi si daastaan daastaan kehne lagega aaina
subhanallah... jo ho raha haim pehli dafaa hai
wallah... aisa hua
subhanallah..jo ho raha hai pehli dafaa hai
wallah... aisa hua

(meri khamoshi se baatein chun lena
unki dori se taarifein boon lena) - 2
kal nahi thi jo aaj lagti hoon
taareef meri hai khaamakha
tohfa hai tera meri adaa

ek din kabhi jo khud ko pukaare meri zubaan se tu zara haaye re
tujh mein chhupi si jo shayari hai tujhko sunaaun main zara haay re
ye do dilon ka waasta waasta khul ke bataaya jaaye naa
(subhanallah... jo ho raha hai pehli dafaa hai
wallah... aisa hua..) - 3
jo ho raha hai, pehli dafaa hai
wallah... aisa hua

0 comments:

Post a Comment